hazāroñ ḳhwāhisheñ aisī ki har ḳhwāhish pe dam nikle
hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī ki har ḳhvāhish pe dam nikle
bahut nikle mire armān lekin phir bhī kam nikle
Dare kyuuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan par
vo ḳhuuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuuñ dam-ba-dam nikle
nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aa.e haiñ lekin
bahut be-ābrū ho kar tire kūche se ham nikle
bharam khul jaa.e zālim tere qāmat kī darāzī kā
agar is turra-e-pur-pech-o-ḳham kā pech-o-ḳham nikle
magar likhvā.e koī us ko ḳhat to ham se likhvā.e
huī sub.h aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle
huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmī
phir aayā vo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle
huī jin se tavaqqo ḳhastagī kī daad paane kī
vo ham se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle
mohabbat meñ nahīñ hai farq jiine aur marne kā
usī ko dekh kar jiite haiñ jis kāfir pe dam nikle
kahāñ mai-ḳhāne kā darvāza 'ġhālib' aur kahāñ vaa.iz
par itnā jānte haiñ kal vo jaatā thā ki ham nikle
hazāroñ ḳhwāhisheñ aisī ki har ḳhwāhish pe dam nikle
bahut nikle mere armān lekin phir bhī kam nikle
Dare kyuñ merā qātil kyā rahegā us kī gardan par
wo ḳhuñ jo chashm-e-tar se umr bhar yuñ dam-ba-dam nikle
nikalnā ḳhuld se aadam kā sunte aae haiñ lekin
bahut be-ābrū ho kar tere kūche se hum nikle
bharam khul jae zālim tere qāmat kī darāzī kā
agar is turra-e-pur-pech-o-ḳham kā pech-o-ḳham nikle
magar likhwāe koī us ko ḳhat to hum se likhwāe
huī subh aur ghar se kan par rakh kar qalam nikle
huī is daur meñ mansūb mujh se bāda-ashāmī
phir aayā wo zamāna jo jahāñ meñ jām-e-jam nikle
huī jin se tawaqqo ḳhastagī kī dad pane kī
wo hum se bhī ziyāda ḳhasta-e-teġh-e-sitam nikle
mohabbat meñ nahīñ hai farq jine aur marne kā
usī ko dekh kar jite haiñ jis kāfir pe dam nikle
kahāñ mai-ḳhāne kā darwāza 'ġhālib' aur kahāñ waiz
par itnā jānte haiñ kal wo jatā thā ki hum nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.