Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā hai

Allama Iqbal

ḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā hai

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    ḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā hai

    ki maiñ is fikr meñ rahtā huuñ merī intihā kyā hai

    ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle

    ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai

    maqām-e-guftugū kyā hai agar maiñ kīmiyā-gar huuñ

    yahī soz-e-nafas hai aur merī kīmiyā kyā hai

    nazar aa.iiñ mujhe taqdīr gahrā.iyāñ is meñ

    na pūchh ai ham-nashīñ mujh se vo chashm-e-surma-sā kyā hai

    agar hotā vo majzūb-e-farañgī is zamāne meñ

    to 'iqbāl' us ko samjhātā maqām-e-kibriyā kyā hai

    navā-e-sub.h-gāhī ne jigar ḳhuuñ kar diyā merā

    ḳhudāyā jis ḳhatā ye sazā hai vo ḳhatā kyā hai

    ḳhird-mandoñ se kyā pūchhūñ ki merī ibtidā kyā hai

    ki maiñ is fikr meñ rahtā huñ merī intihā kyā hai

    ḳhudī ko kar buland itnā ki har taqdīr se pahle

    ḳhudā bande se ḳhud pūchhe batā terī razā kyā hai

    maqām-e-guftugū kyā hai agar maiñ kīmiyā-gar huñ

    yahī soz-e-nafas hai aur merī kīmiyā kyā hai

    nazar aaiñ mujhe taqdīr gahrāiyāñ is meñ

    na pūchh ai ham-nashīñ mujh se wo chashm-e-surma-sā kyā hai

    agar hotā wo majzūb-e-farañgī is zamāne meñ

    to 'iqbāl' us ko samjhātā maqām-e-kibriyā kyā hai

    nawā-e-subh-gāhī ne jigar ḳhuñ kar diyā merā

    ḳhudāyā jis ḳhatā ye sazā hai wo ḳhatā kyā hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now