ho kash hasil dar ki gadai
ho kaash hāsil dar kī gadā.ī
gahe dīda-farshe gahe jab.ha-sā.ī
'uqda-kushā ho 'uqda-kushā.ī
ai shāh-e-ḳhūbāñ jalva-numā.ī
az sabza bar gul ḳhat mī-fidā.ī
dil mī-farebī jaañ mī-rubā.ī
ma.anī-e-qur.āñ 'āriz-e-tābāñ
rū-e-munavvar hāsil-e-īmāñ
kākul-e-mushkīñ sumbul-e-pechāñ
bām-e-falak tak jin kī rasā.ī
az sabza bar gul ḳhat mī-fidā.ī
dil mī-farebī jaañ mī-rubā.ī
surmagīñ āñkheñ barq-e-tajallā
tuur huā kab hāmil-e-jalva
shams-o-qamar meñ husn kā sadqa
'arsh-e-barīñ tak terī rasā.ī
az sabza bar gul ḳhat mī-fidā.ī
dil mī-farebī jaañ mī-rubā.ī
faiz jahāñ meñ 'aam hai un kā
'uqda-kushā.ī kaam hai un kā
rahmat-e-'ālam naam hai un kā
haath meñ hai 'manzūr' ḳhudā.ī
az sabza bar gun ḳhat mī-fidā.ī
dil mī-farebī jaañ mī-rubā.ī
ho kash hasil dar ki gadai
gahe dida-farshe gahe jabha-sai
'uqda-kusha ho 'uqda-kushai
ai shah-e-KHuban jalwa-numai
az sabza bar gul KHat mi-fidai
dil mi-farebi jaan mi-rubai
mani-e-quran 'ariz-e-taban
ru-e-munawwar hasil-e-iman
kakul-e-mushkin sumbul-e-pechan
baam-e-falak tak jin ki rasai
az sabza bar gul KHat mi-fidai
dil mi-farebi jaan mi-rubai
surmagin aankhen barq-e-tajalla
tur hua kab hamil-e-jalwa
shams-o-qamar mein husn ka sadqa
'arsh-e-barin tak teri rasai
az sabza bar gul KHat mi-fidai
dil mi-farebi jaan mi-rubai
faiz jahan mein 'am hai un ka
'uqda-kushai kaam hai un ka
rahmat-e-'alam nam hai un ka
hath mein hai 'manzur' KHudai
az sabza bar gun KHat mi-fidai
dil mi-farebi jaan mi-rubai
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 115)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.