Sufinama

ḳhudī wo bahr hai jis kā koī kināra nahīñ

Allama Iqbal

ḳhudī wo bahr hai jis kā koī kināra nahīñ

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    ḳhudī vo bahr hai jis koī kināra nahīñ

    aabjū ise samjhā agar to chāra nahīñ

    tilism-e-gumbad-e-gardūñ ko toḌ sakte haiñ

    zujāj ye imārat hai sañg-e-ḳhāra nahīñ

    ḳhudī meñ Dūbte haiñ phir ubhar bhī aate haiñ

    magar ye hausla-e-mard-e-hech-kāra nahīñ

    tire maqām ko anjum-shanās kyā jaane

    ki ḳhāk-e-zinda hai tāba-e-sitāra nahīñ

    yahīñ bahisht bhī hai huur o jibra.īl bhī hai

    tirī nigah meñ abhī shoḳhi-e-nazāra nahīñ

    mire junūñ ne zamāne ko ḳhuub pahchānā

    vo pairahan mujhe baḳhshā ki paara paara nahīñ

    ġhazab hai ain-e-karam meñ baḳhīl hai fitrat

    ki lāl-e-nāb meñ ātish to hai sharāra nahīñ

    ḳhudī wo bahr hai jis koī kināra nahīñ

    aabjū ise samjhā agar to chāra nahīñ

    tilism-e-gumbad-e-gardūñ ko toḌ sakte haiñ

    zujāj ye imārat hai sañg-e-ḳhāra nahīñ

    ḳhudī meñ Dūbte haiñ phir ubhar bhī aate haiñ

    magar ye hausla-e-mard-e-hech-kāra nahīñ

    tere maqām ko anjum-shanās kyā jaane

    ki ḳhāk-e-zinda hai tāba-e-sitāra nahīñ

    yahīñ bahisht bhī hai hur o jibraīl bhī hai

    tirī nigah meñ abhī shoḳhi-e-nazāra nahīñ

    mere junūñ ne zamāne ko ḳhub pahchānā

    wo pairahan mujhe baḳhshā ki para para nahīñ

    ġhazab hai ain-e-karam meñ baḳhīl hai fitrat

    ki lāl-e-nāb meñ ātish to hai sharāra nahīñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now