hue namwar be-nishan kaise kaise
hue nāmvar be-nishāñ kaise kaise
zamīñ khā ga.ī āsmāñ kaise kaise
tirī bāñkī chitvan ne chun chun ke maare
nukīle sajīle javāñ kaise kaise
na gul haiñ na ġhunche na buuTe na patte
hue baaġh nazr-e-ḳhizāñ kaise kaise
sitāroñ kī dekho bahār aañkh uThā kar
khilātā hai phuul āsmāñ kaise kaise
kaḌe un ke tevar jo maqtal meñ dekhe
liye naaz ne imtihāñ kaise kaise
yahāñ dard se haath siine pe rakhā
vahāñ un ko guzre gumāñ kaise kaise
vo sūrat na āñkhoñ meñ ab hai na dil meñ
makīñ se haiñ ḳhālī makāñ kaise kaise
tire jāñ-nisāroñ ke tevar vahī haiñ
gale par haiñ ḳhanjar ravāñ kaise kaise
jahāñ naam aatā hai un kā zabāñ par
to letī hai bose zabāñ kaise kaise
har ik dil pe haiñ daaġh nākāmiyoñ ke
nishāñ de gayā be-nishāñ kaise kaise
bahār aa ke qudrat kī gulshan meñ dekho
khilātā hai gul bāġhbāñ kaise kaise
uThā.e haiñ majnūñ ne laila kī ḳhātir
shtur-ġhamza-e-sārbāñ kaise kaise
ḳhush-iqbāl kyā sar-zamīn-e-sukHan hai
mile haiñ use bāġhbāñ kaise kaise
javānī kā sadqa zarā aañkh uThāo
taḌapte haiñ dekho javāñ kaise kaise
shab-e-vasl hal hoñge kyā kyā muamme
ayaañ hoñge rāz-e-nihāñ kaise kaise
ḳhizāñ luuT hī le ga.ī baaġh saarā
taḌapte rahe bāġhbāñ kaise kaise
banā kar dikhā.e mere dard-e-dil ne
tah-e-āsmāñ āsmāñ kaise kaise
'amīr' ab madīne ko tū bhī ravāñ ho
chale jaate haiñ kārvāñ kaise kaise
hue namwar be-nishan kaise kaise
zamin kha gai aasman kaise kaise
teri banki chitwan ne chun chun ke mare
nukile sajile jawan kaise kaise
na gul hain na ghunche na buTe na patte
hue bagh nazr-e-KHizan kaise kaise
sitaron ki dekho bahaar aankh uTha kar
khilata hai phul aasman kaise kaise
kaDe un ke tewar jo maqtal mein dekhe
liye naz ne imtihan kaise kaise
yahan dard se hath sine pe rakha
wahan un ko guzre guman kaise kaise
wo surat na aankhon mein ab hai na dil mein
makin se hain KHali makan kaise kaise
tere jaan-nisaron ke tewar wahi hain
gale par hain KHanjar rawan kaise kaise
jahan nam aata hai un ka zaban par
to leti hai bose zaban kaise kaise
har ek dil pe hain dagh nakaamiyon ke
nishan de gaya be-nishan kaise kaise
bahaar aa ke qudrat ki gulshan mein dekho
khilata hai gul baghban kaise kaise
uThae hain majnun ne laila ki KHatir
shtur-ghamza-e-sarban kaise kaise
KHush-iqbaal kya sar-zamin-e-sukHan hai
mile hain use baghban kaise kaise
jawani ka sadqa zara aankh uThao
taDapte hain dekho jawan kaise kaise
shab-e-wasl hal honge kya kya muamme
ayan honge raaz-e-nihan kaise kaise
KHizan luT hi le gai bagh sara
taDapte rahe baghban kaise kaise
bana kar dikhae mere dard-e-dil ne
tah-e-asman aasman kaise kaise
'amir' ab madine ko tu bhi rawan ho
chale jate hain karwan kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.