hum apni sham ko jab nazr-e-jam karte hain
ham apnī shaam ko jab nazr-e-jām karte haiñ
adab se ham ko sitāre salām karte haiñ
gale lagāte haiñ dushman ko bhī surūr meñ ham
bahut bure haiñ magar nek kaam karte haiñ
sajā.eñ kyuuñ na use ye sarā.e hai dil kī
yahāñ hasīn musāfir qayām karte haiñ
hayāt bech deñ thoḌe se pyaar ke badle
ye kārobār bhī tere ġhulām karte haiñ
hameñ to ek nazar se navāz ai saaqī
ham apne hosh-o-ḳhirad tere naam karte haiñ
'qatīl' kitne suḳhan-sāz haiñ ye sannāTe
sukūt-e-shab meñ jo ham se kalām karte haiñ
hum apni sham ko jab nazr-e-jam karte hain
adab se hum ko sitare salam karte hain
gale lagate hain dushman ko bhi surur mein hum
bahut bure hain magar nek kaam karte hain
sajaen kyun na use ye sarae hai dil ki
yahan hasin musafir qayam karte hain
hayat bech den thoDe se pyar ke badle
ye karobar bhi tere ghulam karte hain
hamein to ek nazar se nawaz ai saqi
hum apne hosh-o-KHirad tere nam karte hain
'qatil' kitne suKHan-saz hain ye sannaTe
sukut-e-shab mein jo hum se kalam karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.