jo shabab aaya to kya kahun wo raat ke jaise badal gae
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔
jo shabāb aayā to kyā kahūñ vo raat ke jaise badal ga.e
maġhrūr hue haiñ vo is tarah jazbāt ke jaise badal ga.e
pachpan to bitāyā saath mire par javāñ hue to bichhaḌ ga.e
daura jo paḌā inqilāb kā hālāt ke jaise badal ga.e
ye abrū haiñ yā ḳhanjar haiñ ye mizhgāñ haiñ yā talvāreñ
ye shor hai saare shahar meñ vo sauġhāt ke jaise badal ga.e
tirī yaad meñ aañsū jo bah ga.e vo bahte bahte ye kah ga.e
ab un kā bharosa hī kyā hai vo barsāt ke jaise badal ga.e
va.adoñ kī haqīqat pūchhā to baḌe naaz se hañs kar bole vo
ab un kī haqīqat na pūchhiye vo raat ke jaise badal ga.e
pahle to mirā dil chhīn liyā phir mujh pe anokhā sitam kiyā
dīvāna banā kar mujh ko 'hunar' hālāt ke jaise badal ga.e
jo shabab aaya to kya kahun wo raat ke jaise badal gae
maghrur hue hain wo is tarah jazbaat ke jaise badal gae
pachpan to bitaya sath mere par jawan hue to bichhaD gae
daura jo paDa inqilab ka haalat ke jaise badal gae
ye abru hain ya KHanjar hain ye mizhgan hain ya talwaren
ye shor hai sare shahar mein wo saughat ke jaise badal gae
teri yaad mein aansu jo bah gae wo bahte bahte ye kah gae
ab un ka bharosa hi kya hai wo barsat ke jaise badal gae
wadon ki haqiqat puchha to baDe naz se hans kar bole wo
ab un ki haqiqat na pūchhiye wo raat ke jaise badal gae
pahle to mera dil chhin liya phir mujh pe anokha sitam kiya
diwana bana kar mujh ko 'hunar' haalat ke jaise badal gae
- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.