husn-e-mutlaq ka azal ke din se main diwana tha
husn-e-mutlaq kā azal ke din se maiñ dīvāna thā
lā-makāñ kahte haiñ jis ko vo mirā kāshāna thā
be-ta.alluq kyā hameñ us ke tasavvur ne kiyā
jab jhukāyā sar-garebāñ apnā ḳhalvat-ḳhāna thā
bāġh-e-a.alam kā tamāshā bā.is-e-ġhaflat huā
dekhnā āñkhoñ kā kānoñ ke liye afsāna thā
shukr sad shukr is hasīñ ke nuur se raushan hai dil
sham.a-e-ruḳh par jis ke jibraīl-e-amīñ parvānā thā
is qadar us ke tasavvur ne satāyā hai mujhe
shu.bha hotā hai ki hastī meñ kabhī thā yā na thā
kyā huā inkār gar isrār muusā par huā
ye kamāl-e-shauq thā vo nāz-e-ma.ashūqāna thā
gul sarāpā gosh bante kyuuñ na sunñe ke liye
chahchahe bulbul ke gulshan meñ tirā afsāna thā
daar par chaḌh kar anal-haq jo kahā mansūr ne
vo bhī ik terā karishma himmat-e-mardāna thā
ham ġhalat-fahmī se samjhe qatl karne ko itaab
aur vahāñ ik chheḌ thī ik nāz-e-ma.ashūqāna thā
sun liye do harf jis ne ho gayā sarmast-e-ishq
chashm-e-afsūñ-sāz kā afsūñ mirā afsāna thā
va.az kī majlis meñ bhī aa.e to yuuñ mastān-e-ishq
mai kī botal thī baġhal meñ haath meñ paimāna thā
jamghaTe lailā-vashoñ ke dekhne se shahar meñ
jā ke jañgal meñ basā majnūñ baḌā dīvāna thā
vasl hotā kis tarah ḳhalvat kahāñ thī raat ko
phuul the nargis ke rakkhe sham.a thī parvāna thā
mazra'-e-a.alam meñ mujh sā soḳhta-qismat kahāñ
jal gayā qismat kā merī khet meñ jo daana thā
dair kī tahqīr kar itnī na ai shaiḳh-e-haram
aaj ka.aba ban gayā kal tak yahī but-ḳhānā thā
aazmā dekhā use sau baar ham ne ai 'amīr'
āshnā se āshnā begāne se begāna thā
husn-e-mutlaq ka azal ke din se main diwana tha
la-makan kahte hain jis ko wo mera kashana tha
be-talluq kya hamein us ke tasawwur ne kiya
jab jhukaya sar-gareban apna KHalwat-KHana tha
bagh-e-alam ka tamasha bais-e-ghaflat hua
dekhna aankhon ka kanon ke liye afsana tha
shukr sad shukr is hasin ke nur se raushan hai dil
shama-e-ruKH par jis ke jibrail-e-amin parwana tha
is qadar us ke tasawwur ne sataya hai mujhe
shubha hota hai ki hasti mein kabhi tha ya na tha
kya hua inkar gar israr musa par hua
ye kamal-e-shauq tha wo naz-e-mashuqana tha
gul sarapa gosh bante kyun na sunne ke liye
chahchahe bulbul ke gulshan mein tera afsana tha
dar par chaDh kar anal-haq jo kaha mansur ne
wo bhi ek tera karishma himmat-e-mardana tha
hum ghalat-fahmi se samjhe qatl karne ko itab
aur wahan ek chheD thi ek naz-e-mashuqana tha
sun liye do harf jis ne ho gaya sarmast-e-ishq
chashm-e-afsun-saz ka afsun mera afsana tha
waz ki majlis mein bhi aae to yun mastan-e-ishq
mai ki botal thi baghal mein hath mein paimana tha
jamghaTe laila-washon ke dekhne se shahar mein
ja ke jangal mein basa majnun baDa diwana tha
wasl hota kis tarah KHalwat kahan thi raat ko
phul the nargis ke rakkhe shama thi parwana tha
mazra'-e-alam mein mujh sa soKHta-qismat kahan
jal gaya qismat ka meri khet mein jo dana tha
dair ki tahqir kar itni na ai shaiKH-e-haram
aaj kaba ban gaya kal tak yahi but-KHana tha
aazma dekha use sau bar hum ne ai 'amir'
aashna se aashna begane se begana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.