ho gaya labrez mere ishq ka paimana ab
ho gayā labrez mere 'ishq kā paimāna ab
āsmāñ ko chuum legī mahfil-e-rindāna ab
chashm-e-murshid ne pilāyā jām-e-vahdat vo mujhe
jism kī har ḳhvāhishoñ se ho gayā begāna ab
Dor se nisbat kī tum ne guth diye haiñ aise par
ḳhvāb meñ bhī uḌ nahīñ saktā kahīñ parvāna ab
rafta-rafta 'ishq kā aisā nasha chaḌhne lagā
ho gayā andāz merā dekhiye mastāna ab
aap aa.e ḳhvāb meñ aur khul ga.ī qismat merī
ḳhushbuoñ kā ban gayā markaz mirā kāshāna ab
aap ke rauza kī chādar se havā paane ke ba.ad
hosh meñ aane lagā hai aap kā dīvāna ab
aap ne dīdār kī aisī pilā.ī mai use
‘shān’ kā mushkil huā hai hosh meñ aa jaanā ab
ho gaya labrez mere 'ishq ka paimana ab
aasman ko chum legi mahfil-e-rindana ab
chashm-e-murshid ne pilaya jam-e-wahdat wo mujhe
jism ki har KHwahishon se ho gaya begana ab
Dor se nisbat ki tum ne guth diye hain aise par
KHwab mein bhi uD nahin sakta kahin parwana ab
rafta-rafta 'ishq ka aisa nasha chaDhne laga
ho gaya andaz mera dekhiye mastana ab
aap aae KHwab mein aur khul gai qismat meri
KHushbuon ka ban gaya markaz mera kashana ab
aap ke rauza ki chadar se hawa pane ke baad
hosh mein aane laga hai aap ka diwana ab
aap ne didar ki aisi pilai mai use
‘shan’ ka mushkil hua hai hosh mein aa jaana ab
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.