ek bar ho to jae mohabbat kisi ke sath
ik baar ho to jaa.e mohabbat kisī ke saath
sab ġham ġhalat haiñ ik ġham-e-āshiqī ke saath
sāñseñ to chal rahī haiñ magar sochtā huuñ maiñ
allāh rabt kyā hai mujhe zindagī ke saath
hotā hai ik ma.āl-e-masarrat nigāh meñ
hañstā jo dekhtā huuñ kisī ko kisī ke saath
āḳhir ġham-e-hayāt ke mātam se fā.eda
ġham zindagī ke saath ḳhushī zindagī ke saath
kyā pūchhte ho mujh se mire dil kī aarzū
ab merī har ḳhushī hai tumhārī ḳhushī ke saath
jaanā hai kis ke dar pe dar-e-yār chhoḌkar
marnā usī ke saath hai jiinā usī ke saath
'kāmil' ye baat yaad rakho balki likh rakho
ḳhālī kabhī na jā.egī nisbat kisī ke saath
ek bar ho to jae mohabbat kisi ke sath
sab gham ghalat hain ek gham-e-ashiqi ke sath
sansen to chal rahi hain magar sochta hun main
allah rabt kya hai mujhe zindagi ke sath
hota hai ek maal-e-masarrat nigah mein
hansta jo dekhta hun kisi ko kisi ke sath
aaKHir gham-e-hayat ke matam se faeda
gham zindagi ke sath KHushi zindagi ke sath
kya puchhte ho mujh se mere dil ki aarzu
ab meri har KHushi hai tumhaari KHushi ke sath
jaana hai kis ke dar pe dar-e-yar chhoDkar
marna usi ke sath hai jina usi ke sath
'kaamil' ye baat yaad rakho balki likh rakho
KHali kabhi na jaegi nisbat kisi ke sath
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 250)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.