ek jam khanaktā jam ki saqī raat guzarne walī hai
ik jaam khanaktā jaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ik hosh-rubā in.aam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
vo dekh sitāroñ ke motī har aan bikharte jaate haiñ
aflāk pe hai kohrām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
go dekh chukā huuñ pahle bhī nazzāra dariyā-noshī kā
ek aur salā-e-ām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ye vaqt nahīñ hai bātoñ kā palkoñ ke saa.e kaam meñ lā
ilhām koī ilhām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
mad-hoshī meñ ehsās ke ūñche ziine se gir jaane de
is vaqt na mujh ko thaam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ek jam khanaktā jam ki saqī raat guzarne walī hai
ek hosh-rubā inam ki saqī raat guzarne walī hai
wo dekh sitāroñ ke motī har aan bikharte jate haiñ
aflāk pe hai kohrām ki saqī raat guzarne walī hai
go dekh chukā huñ pahle bhī nazzāra dariyā-noshī kā
ek aur salā-e-ām ki saqī raat guzarne walī hai
ye waqt nahīñ hai bātoñ kā palkoñ ke sae kaam meñ lā
ilhām koī ilhām ki saqī raat guzarne walī hai
mad-hoshī meñ ehsās ke ūñche zine se gir jaane de
is waqt na mujh ko tham ki saqī raat guzarne walī hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.