ek qiyamat ban gai hai aashnai aap ki
ik qiyāmat ban ga.ī hai āshnā.ī aap kī
ḳhuun ke aañsū rulātī hai judā.ī aap kī
dar haqīqat aap haiñ vo paikar-e-husn-o-jamāl
jaan se dil se huī shaidā ḳhudā.ī aap kī
dekhte hī dekhte uḌne lage hazrat ke hosh
ham ne jab tasvīr nāseh ko dikhā.ī aap kī
sair karne un ke kūche meñ ga.e the ek din
kuchh ḳhabar ai hazrat dil phir na aa.ī aap kī
aur is be-chārgī kā ho bhī saktā kyā ilaaj
ro diye ham dekh kar be-e'tinā.ī aap kī
zo.af meñ chalnā to kyā uThnā bhī thā apnā muhāl
vo to bas ham ko mohabbat khīñch laa.ī aap kī
faiz paatā hai 'nasīr' is sañg dar se ik jahāñ
kyuuñ rahe nākām āḳhir jabha-sā.ī aap kī
ek qiyamat ban gai hai aashnai aap ki
KHun ke aansu rulati hai judai aap ki
dar haqiqat aap hain wo paikar-e-husn-o-jamal
jaan se dil se hui shaida KHudai aap ki
dekhte hi dekhte uDne lage hazrat ke hosh
hum ne jab taswir naseh ko dikhai aap ki
sair karne un ke kuche mein gae the ek din
kuchh KHabar ai hazrat dil phir na aai aap ki
aur is be-chaargi ka ho bhi sakta kya ilaj
ro diye hum dekh kar be-e'tinai aap ki
zoaf mein chalna to kya uThna bhi tha apna muhaal
wo to bas hum ko mohabbat khinch lai aap ki
faiz pata hai 'nasir' is sang dar se ek jahan
kyun rahe nakaam aaKHir jabha-sai aap ki
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 841)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.