ek umr ho gai ki iqamat safar mein hai
ik umr ho ga.ī ki iqāmat safar meñ hai
naqsha magar vatan kā abhī tak nazar meñ hai
jo ḳhuun ubal chale vo mirī chashm-e-tar meñ hai
jo daaġh rañg laa.e vo merī jigar meñ hai
din raat yaad hai dur-e-dandān yaar kī
kashtī hamārī umr kī āb-e-guhar meñ hai
ham haiñ ba-rañg-e-lāla azal se alam-nasīb
juzv-e-badan hai daaġh jo apne jigar meñ hai
ai bahr-e-husn dekh taḌap intizār kī
machhlī hai mardumak jo mirī chashm-e-tar meñ hai
nairañgiyāñ tasavvur-e-kāmil kī dekhiye
tasvīr-e-yār dil meñ hai naqsha nazar meñ hai
martā hai us pe ġhair bhī to maiñ huuñ be-qarār
dushman ke dil kā daaġh bhī mere jigar meñ hai
duniyā-e-be-sabāt meñ kyā ho hameñ sabāt
jis ghar meñ ham muqīm vo ghar hī safar meñ hai
qātil abhī savār bhī ghar se nahīñ huā
kushtoñ kā Dher chaar taraf rahguzar meñ hai
rakhtā nahīñ zamīn pe maare ḳhushī ke paañv
shāyad javāb-e-ḳhat kamar-e-nāma-bar meñ hai
yā-rab 'amīr' ke bhī gunāhoñ se darguzar
ye bhī to āḳhir ummat-e-kHairul-bashar meñ hai
ek umr ho gai ki iqamat safar mein hai
naqsha magar watan ka abhi tak nazar mein hai
jo KHun ubal chale wo meri chashm-e-tar mein hai
jo dagh rang lae wo meri jigar mein hai
din raat yaad hai dur-e-dandan yar ki
kashti hamari umr ki aab-e-guhar mein hai
hum hain ba-rang-e-lala azal se alam-nasib
juzw-e-badan hai dagh jo apne jigar mein hai
ai bahr-e-husn dekh taDap intizar ki
machhli hai mardumak jo meri chashm-e-tar mein hai
nairangiyan tasawwur-e-kaamil ki dekhiye
taswir-e-yar dil mein hai naqsha nazar mein hai
marta hai us pe ghair bhi to main hun be-qarar
dushman ke dil ka dagh bhi mere jigar mein hai
duniya-e-be-sabaat mein kya ho hamein sabaat
jis ghar mein hum muqim wo ghar hi safar mein hai
qatil abhi sawar bhi ghar se nahin hua
kushton ka Dher chaar taraf rahguzar mein hai
rakhta nahin zamin pe mare KHushi ke panw
shayad jawab-e-KHat kamar-e-nama-bar mein hai
ya-rab 'amir' ke bhi gunahon se darguzar
ye bhi to aaKHir ummat-e-kHairul-bashar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.