sath bande ke KHuda tha mujhe malum na tha
saath bande ke ḳhudā thā mujhe ma.alūm na thā
aks hī shaḳhs-numā thā mujhe ma.alūm na thā
nahnu-aqrab kahā dil-dār ne min-habl-e-varīd
vo mere dam se milā thā mujhe ma.alūm na thā
amranī-anfusakum fahm meñ aayā na mere
vo mirī jaañ se lagā thā mujhe ma.alūm na thā
muñh phirātā thā jidhar maiñ thā udhar vajhul-lāh
ruḳh mirā qibla-numā thā mujhe ma.alūm na thā
jab uThā pardae--ġhaflat to huā ye zāhir
ḳhud hī apne meñ ''chhupā thā mujhe ma.alūm na thā
istavā haaye na aayā thā samajh meñ merī
dil mirā arsh-e-ḳhudā thā mujhe ma.alūm na thā
mujhe zulmat meñ huī nuur se aslan na ḳhabar
ḳhaak meñ āb-e-baqā thā mujhe ma.alūm na thā
nafī samjhā thā maiñ jis ko vahī niklā isbāt
vo baqā thā maiñ fanā thā mujhe ma.alūm na thā
jab khulā qaid-e-sar-o-pā se to 'ulvī' ye khulā
aap meñ be-sar-o-pā thā mujhe ma.alūm na thā
sath bande ke KHuda tha mujhe malum na tha
aks hi shaKHs-numa tha mujhe malum na tha
nahnu-aqrab kaha dil-dar ne min-habl-e-warid
wo mere dam se mila tha mujhe malum na tha
amrani-anfusakum fahm mein aaya na mere
wo meri jaan se laga tha mujhe malum na tha
munh phiraata tha jidhar main tha udhar wajhul-lāh
ruKH mera qibla-numa tha mujhe malum na tha
jab uTha pardae--ghaflat to hua ye zahir
KHud hi apne mein chhupa tha mujhe malum na tha
istawa haye na aaya tha samajh mein meri
dil mera arsh-e-KHuda tha mujhe malum na tha
mujhe zulmat mein hui nur se aslan na KHabar
KHak mein aab-e-baqa tha mujhe malum na tha
nafi samjha tha main jis ko wahi nikla isbaat
wo baqa tha main fana tha mujhe malum na tha
jab khula qaid-e-sar-o-pa se to 'ulwi' ye khula
aap mein be-sar-o-pa tha mujhe malum na tha
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.