nazar mein apne jo nur-e-basar nahin rakhte
nazar meñ apne jo nūr-e-basar nahīñ rakhte
nazar meñ yaar hai har dam nazar nahīñ rakhte
jo koī yaar kī miTTī uThā sake sar par
vo fikr-e-nek-o-bad ḳhair-o-shar nahīñ rakhte
ḳhudā ko DhūñDne vaale ḳhudā ko kyā paa.eñ
abhī ḳhudī se vo apnī ḳhabar nahīñ rakhte
rasā.ī dekhai insāñ kī nā-rasā.ī par
ki lā-makāñ pe uḌeñ aur par nahīñ rakhte
sivā-e-yār kuchh aulād-o-māl-o-kHāna-o-bāġh
nishān-o-nām-o-yā 'ulvī' zar nahīñ rakhte
nazar mein apne jo nur-e-basar nahin rakhte
nazar mein yar hai har dam nazar nahin rakhte
jo koi yar ki miTTi uTha sake sar par
wo fikr-e-nek-o-bad KHair-o-shar nahin rakhte
KHuda ko DhunDne wale KHuda ko kya paen
abhi KHudi se wo apni KHabar nahin rakhte
rasai dekhai insan ki na-rasai par
ki la-makan pe uDen aur par nahin rakhte
siwa-e-yar kuchh aulad-o-mal-o-kHana-o-bagh
nishan-o-nam-o-ya 'ulwi' zar nahin rakhte
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 130)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.