kar ghaur zara dil mein kuchh jalwagari hogi
kar ġhaur zarā dil meñ kuchh jalvagarī hogī
ye shīsha nahīñ ḳhālī dekh is meñ parī hogī
insāñ ko kaho kis kī sūrat ye kiyā paidā
kyā ilm-e-ilāhī meñ shakl-e-basharī hogī
ham khol ke haal apnā pachhtā.e bahut dil meñ
ma.alūm na thā itnī yaañ be-qadrī hogī
ham us ko hī samjheñge shākH-e-shajr-e-ulfat
jo aab se sukhegī ātish se harī hogī
saaqī tirā mastī se kyā haal huā hogā
jab tū ne ye mai zālim shīsha meñ bharī hogī
ai 'alvī' butoñ kī hai kuchh dil-shikanī 'ādat
un sañg-diloñ se kab ā.īna-garī hogī
kar ghaur zara dil mein kuchh jalwagari hogi
ye shisha nahin KHali dekh is mein pari hogi
insan ko kaho kis ki surat ye kiya paida
kya ilm-e-ilahi mein shakl-e-bashari hogi
hum khol ke haal apna pachhtae bahut dil mein
malum na tha itni yan be-qadri hogi
hum us ko hi samjhenge shakH-e-shajr-e-ulfat
jo aab se sukhegi aatish se hari hogi
saqi tera masti se kya haal hua hoga
jab tu ne ye mai zalim shisha mein bhari hogi
ai 'alwi' buton ki hai kuchh dil-shikani 'adat
un sang-dilon se kab aaina-gari hogi
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 131)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.