pas-e-parda yan koi aaya hua hai
pas-e-parda yaañ koī aayā huā hai
ye ġhauġhā kisī kā machāyā huā hai
but-e-sañg-dil aap aur ye ināyat
ye dil to kisī kā churāyā huā hai
na chashm-e-hiqārat se dekho bashar ko
ki qatra meñ dariyā samāyā huā hai
tum itne se hokar ye fitna ye shoḳhī
ye jo ban kisī kā uḌāyā huā hai
dil-soḳhta kī ḳharābī na pūchho
tumhārā hī ye ghar jalāyā huā hai
mirā mar dam diida hai terī sūrat
ye naqsha bhī kyā kuchh jamāyā huā hai
malā.ek bashar ko na kyuuñ sajda karte
ki is ḳhaak meñ kuchh milāyā huā hai
samātā nahīñ 'ulvī' jaama meñ apne
tere dil meñ kuchh to samāyā huā hai
pas-e-parda yan koi aaya hua hai
ye ghaugha kisi ka machaya hua hai
but-e-sang-dil aap aur ye inayat
ye dil to kisi ka churaya hua hai
na chashm-e-hiqarat se dekho bashar ko
ki qatra mein dariya samaya hua hai
tum itne se hokar ye fitna ye shoKHi
ye jo ban kisi ka uDaya hua hai
dil-soKHta ki KHarabi na puchho
tumhaara hi ye ghar jalaya hua hai
mera mar dam dida hai teri surat
ye naqsha bhi kya kuchh jamaya hua hai
malaek bashar ko na kyun sajda karte
ki is KHak mein kuchh milaya hua hai
samata nahin 'ulwi' jama mein apne
tere dil mein kuchh to samaya hua hai
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.