nur mein jo hoke par uDne lage
nuur meñ jo hoke par uḌne lage
āsmāñ par misl-e-ḳhor uḌne lage
paḌ gayā jis ḳhaak par us kā qadam
daañ ke zarre misl-e-hūr uḌne lage
goshvāroñ se tere jugnū kī tarah
jaan paḌ kar la.al-o-durr uḌne lage
barg-e-bosīda kabūtar kī tarah
muñh se giroh kah de phir uḌne lage
yaar tere nabz se misal-e-burrāq
charḳh par asp-o-shutr uḌne lage
saiñkaḌoñ sarhāy-e-ā'dā-e-husaiñ
niklī jab shamshīr-e-hur uḌne lage
ḳhuub be kī kī aḌaa.ī 'ulviyā'
ho ga.e sab sun ke phur uḌne lage
nur mein jo hoke par uDne lage
aasman par misl-e-KHor uDne lage
paD gaya jis KHak par us ka qadam
dan ke zarre misl-e-hur uDne lage
goshwaron se tere jugnu ki tarah
jaan paD kar lal-o-durr uDne lage
barg-e-bosida kabutar ki tarah
munh se giroh kah de phir uDne lage
yar tere nabz se misal-e-burraq
charKH par asp-o-shutr uDne lage
sainkaDon sarhay-e-a'da-e-husain
nikli jab shamshir-e-hur uDne lage
KHub be ki ki aDai 'ulwiya'
ho gae sab sun ke phur uDne lage
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.