aankh khulte hi tha ek jalwa nazar ke samne
aañkh khulte hī thā ik jalva nazar ke sāmne
kyā kahūñ maiñ āgayā kyā kyā nazar ke sāmne
aadmī ko dekhā jab hañstā nazar ke sāmne
thā sarāpā nuur kā putlā nazar ke sāmne
aañkh se niklā aur ā-baiThā nazar ke sāmne
chhup gayā nazroñ hī meñ kaisā nazar ke sāmne
dekh le vo jis ko ho chashm-e-basīrat ġhaur se
bahtā hai ik nuur kā dariyā nazar ke sāmne
ham ne jis par jaan dī aur ham ko dī hai jis ne jaañ
dil ke andar hai vo har dam yā nazar ke sāmne
jab muqayyad se sū-e-mutlaq ga.ī apnī nigāh
jo ki paayā thā vo sab khoyā nazar ke sāmne
ab jahāñ meñ kuchh nahīñ hai aarzū 'ulvī' mujhe
marte dam ho sūrat-e-mīrzā nazar ke sāmne
aankh khulte hi tha ek jalwa nazar ke samne
kya kahun main aagaya kya kya nazar ke samne
aadmi ko dekha jab hansta nazar ke samne
tha sarapa nur ka putla nazar ke samne
aankh se nikla aur aa-baiTha nazar ke samne
chhup gaya nazron hi mein kaisa nazar ke samne
dekh le wo jis ko ho chashm-e-basirat ghaur se
bahta hai ek nur ka dariya nazar ke samne
hum ne jis par jaan di aur hum ko di hai jis ne jaan
dil ke andar hai wo har dam ya nazar ke samne
jab muqayyad se su-e-mutlaq gai apni nigah
jo ki paya tha wo sab khoya nazar ke samne
ab jahan mein kuchh nahin hai aarzu 'ulwi' mujhe
marte dam ho surat-e-mirza nazar ke samne
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.