haye hum kho gae yar tere pane se
haaye ham kho ga.e yaar tere paane se
ḳhud ko bhī bhuul ga.e aap kī yaad aane se
but-parastī par zarā ai dil-e-kāfir terī
kyā nikālā hai ḳhudā DhūñD ke but-ḳhāne se
ishq ne phūñk diyā hai mirā ḳhāshāk-e-vajūd
barq ko laag huā kartī hai but-ḳhāne se
aañkh se dekh liyā us ne jise thā be-ḳhud
bhar diye saiñkaḌoñ ġham ek hī paimāne se
be Thikāna kahīñ gar mar gayā to ai 'ulvī'
ishq mar gayā aise aise mar jaane se
haye hum kho gae yar tere pane se
KHud ko bhi bhul gae aap ki yaad aane se
but-parasti par zara ai dil-e-kafir teri
kya nikala hai KHuda DhunD ke but-KHane se
ishq ne phunk diya hai mera KHashak-e-wajud
barq ko lag hua karti hai but-KHane se
aankh se dekh liya us ne jise tha be-KHud
bhar diye sainkaDon gham ek hi paimane se
be Thikana kahin gar mar gaya to ai 'ulwi'
ishq mar gaya aise aise mar jaane se
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.