jahan mein zuhur-e-butan ho raha hai
jahāñ meñ zuhūr-e-butāñ ho rahā hai
nihāñ thā jo kuchh sab ayaañ ho rahā hai
yahāñ har nishāñ be-nishāñ ho rahā hai
makāñ bhī har ik lā-makāñ ho rahā hai
vahāñ jo huā ab yahāñ ho rahā hai
kidhar kā tamāsha kahāñ ho rahā hai
jo sham-e-basīrat ho dekhe har ik dam
fanā hoke har jism jaañ ho rahā hai
ye kyā chiiz hai kuchh ḳhabar bhī hai ġhāfil
har ik dam yuuñ hī rā.egāñ ho rahā hai
azal meñ jo bār-e-amānat uThāyā
har insāñ kā yaañ imtihāñ ho rahā hai
nahīñ khultā sirr-e-adam-e-vaqt murdan
har ik lab bhī qufl-e-dahāñ ho rahā hai
farishtoñ kā kaam ab bashar kar rahe haiñ
ye farsh-e-zamīñ āsmāñ ho rahā hai
ġhazab hai ki bande pe sab ko yaqīñ hai
ḳhudā par faqat ik gumāñ ho rahā hai
dam naza.a 'ulvī' se kyā pūchhte ho
vo jaate haiñ ḳhālī makāñ ho rahā hai
jahan mein zuhur-e-butan ho raha hai
nihan tha jo kuchh sab ayan ho raha hai
yahan har nishan be-nishan ho raha hai
makan bhi har ek la-makan ho raha hai
wahan jo hua ab yahan ho raha hai
kidhar ka tamasha kahan ho raha hai
jo sham-e-basirat ho dekhe har ek dam
fana hoke har jism jaan ho raha hai
ye kya chiz hai kuchh KHabar bhi hai ghafil
har ek dam yun hi raegan ho raha hai
azal mein jo bar-e-amanat uThaya
har insan ka yan imtihan ho raha hai
nahin khulta sirr-e-adam-e-waqt murdan
har ek lab bhi qufl-e-dahan ho raha hai
farishton ka kaam ab bashar kar rahe hain
ye farsh-e-zamin aasman ho raha hai
ghazab hai ki bande pe sab ko yaqin hai
KHuda par faqat ek guman ho raha hai
dam naza 'ulwi' se kya puchhte ho
wo jate hain KHali makan ho raha hai
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.