ishq ne aag lagai re sadhu ishq ne aag lagai
ishq ne aag lagā.ī re sādhū ishq ne aag lagā.ī
det huuñ raam dohā.ī re sādhū ishq ne aag lāga.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
kunto kanzan maḳhfiyan meñ apnī shaan chhupā.ī
ahbabtu an ā'raf kah kar nit na.ī chhab dikhlā.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
fa-kHalqt-ul-kHalqa kī apne aage dhūnī ramā.ī
kun-fayakun kā bhatta lagā kar phūñk phūñk sulgā.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
fī anfusikum va-huva ma.akum bāteñ bahut sunā.ī
kaif madda-zillu jo bolā buujh suujh meñ aa.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
bol ke yā nāru-kūnī bardan jaltī aag bujhā.ī
lan-tarānī kah tuur ko phūñkā man-mānī Thukrā.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
ghaas phūñs kī ek jhoñpaḌī mar marham ne chhupā.ī
bhus meñ chañgī Daal jamāl-o-shān-e-jalāl dikhā.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
nārullāhil-mūqadatu ko jab dil meñ bhaḌkā.ī
tan man dhan sab raakh ho vahī aisī jaan july
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
kahat rañgīlā sun re chhabīle ab kuchh sudh-budh aa.ī
gur kā naam le kuud aag meñ kyuuñ jaan chorā.ī
re sādhū ishq ne aag lagā.ī
ishq ne aag lagai re sadhu ishq ne aag lagai
det hun ram dohai re sadhu ishq ne aag lagai
re sadhu ishq ne aag lagai
kunto kanzan maKHfiyan mein apni shan chhupai
ahbabtu an aa'raf kah kar nit nai chhab dikhlai
re sadhu ishq ne aag lagai
fa-kHalqt-ul-kHalqa ki apne aage dhuni ramai
kun-fayakun ka bhatta laga kar phunk phunk sulgai
re sadhu ishq ne aag lagai
fi anfusikum wa-huwa makum baaten bahut sunai
kaif madda-zillu jo bola bujh sujh mein aai
re sadhu ishq ne aag lagai
bol ke ya naru-kuni bardan jalti aag bujhai
lan-tarani kah tur ko phunka man-mani Thukrai
re sadhu ishq ne aag lagai
ghas phuns ki ek jhonpaDi mar marham ne chhupai
bhus mein changi Dal jamal-o-shan-e-jalal dikhai
re sadhu ishq ne aag lagai
narullahil-muqadatu ko jab dil mein bhaDkai
tan man dhan sab rakh ho wahi aisi jaan july
re sadhu ishq ne aag lagai
kahat rangila sun re chhabile ab kuchh sudh-budh aai
gur ka nam le kud aag mein kyun jaan chorai
re sadhu ishq ne aag lagai
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.