jalwa jo humne nur mein dekha
jalva jo ham ne nuur meñ dekhā
hū-ba-hū sab zuhūr meñ dekhā
ham ne paayā hai ġhaib meñ jo kuchh
vahī a.alam huzūr meñ dekhā
dekh luuñ aaj vo jo muusā ne
mājrā koh-e-tūr meñ dekhā
asar-e-nasha-e-mai-e-vahdat
sab sharāb-e-tahūr meñ dekhā
tere daure meñ ham ne ai saaqī
jis ko dekhā surūr meñ dekhā
huuñ vo mai-kash ki rū-e-sāqī kā
aks jām-e-billor meñ dekhā
'ulvī' dekhā jo ham ne insāñ meñ
na parī meñ na huur meñ dekhā
jalwa jo hum ne nur mein dekha
hu-ba-hu sab zuhur mein dekha
hum ne paya hai ghaib mein jo kuchh
wahi aalam huzur mein dekha
dekh lun aaj wo jo musa ne
majra koh-e-tur mein dekha
asar-e-nasha-e-mai-e-wahdat
sab sharab-e-tahur mein dekha
tere daure mein hum ne ai saqi
jis ko dekha surur mein dekha
hun wo mai-kash ki ru-e-saqi ka
aks jam-e-billor mein dekha
'ulwi' dekha jo hum ne insan mein
na pari mein na hur mein dekha
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.