tujhko zahid KHuda nahin milta
tujh ko zāhid ḳhudā nahīñ miltā
mujh ko merā pata nahīñ miltā
ḳhalq meñ kaise kyā nahīñ miltā
haa.e par mīrzā nahīñ miltā
dil kā kyā mudda'ā nahīñ miltā
haañ usī kā pata nahīñ miltā
apnī sūrat ko dekh ai ġhāfil
kyā tujhe ā.īna nahīñ miltā
dil-e-gum-gashta ko kahāñ DhūñDūñ
ki kahīñ naqsh-e-pā nahīñ miltā
ham hī gum ho ke DhūñDheñge dil ko
dekheñ miltā hai yā nahīñ miltā
zarra-zarra meñ kar ḳhudā ko talāsh
vo kisī aur jā nahīñ miltā
yahīñ mil liije jis se milnā hai
yaañ se jo chal diyā nahīñ miltā
yaar kahnā hai mujh se chhup ke milo
maiñ to yuuñ barmalā nahīñ miltā
'ulvī' ḳhud-matlaboñ se kyā hai ġharaz
mile merī balā nahīñ miltā
tujh ko zahid KHuda nahin milta
mujh ko mera pata nahin milta
KHalq mein kaise kya nahin milta
hae par mirza nahin milta
dil ka kya mudda'a nahin milta
han usi ka pata nahin milta
apni surat ko dekh ai ghafil
kya tujhe aaina nahin milta
dil-e-gum-gashta ko kahan DhunDun
ki kahin naqsh-e-pa nahin milta
hum hi gum ho ke DhunDhenge dil ko
dekhen milta hai ya nahin milta
zarra-zarra mein kar KHuda ko talash
wo kisi aur ja nahin milta
yahin mil lije jis se milna hai
yan se jo chal diya nahin milta
yar kahna hai mujh se chhup ke milo
main to yun barmala nahin milta
'ulwi' KHud-matlabon se kya hai gharaz
mile meri bala nahin milta
- Book : KHumkhana-e-Azli (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.