kahen kis se ki un aankhon se kya kya humne dekha hai
kaheñ kis se ki un āñkhoñ se kyā kyā ham ne dekhā hai
ḳhudī meñ bhī ḳhudā.ī kā tamāsha ham ne dekhā hai
jo kahtā hai ki is kā qad baalā ham ne dekhā hai
vo kah degā qasam khā kar ki tuubā ham ne dekhā hai
kaho kyā chiiz hai miTTī kā putlā ham ne dekhā hai
falak bhī rakhtā hai jis kī tamannā ham ne dekhā hai
huā hai jis pe 'ālam zer baalā ham ne dekhā hai
ye jis ke vāste sab kuchh hai utnā ham ne dekhā hai
qasam āñkhoñ kī rū-e-mustafā ko ham ne dekhā hai
vo lab ko chashm ko ruḳhsār siimā ham ne dekhā hai
tirī tasvīr kā ai yaar ḳhāka ham ne dekhā hai
koī hai jis ko sab kahte haiñ ki mirzā ham ne dekhā hai
samā jaate hue zarre meñ sahrā ham ne dekhā hai
utar jaate hue qatre meñ dariyā ham ne dekhā hai
jise ḳhalvat-nashīñ kahte the dar-parda samajhte the
khaḌā hai bāñdh par vo be-irāda ham ne dekhā hai
ye dar-parda tumhārā ānā-jānā khal gayā ham ko
ye kyā kahte ho ham ko kis ne dekhā ham ne dekhā hai
vo sab chāheñ nahīñ mauqūf kuchh 'ulvī'-o-siflī par
bahut kuchh dair-o-kā'bā-o-kalīsā ham ne dekhā hai
kahen kis se ki un aankhon se kya kya hum ne dekha hai
KHudi mein bhi KHudai ka tamasha hum ne dekha hai
jo kahta hai ki is ka qad baala hum ne dekha hai
wo kah dega qasam kha kar ki tuba hum ne dekha hai
kaho kya chiz hai miTTi ka putla hum ne dekha hai
falak bhi rakhta hai jis ki tamanna hum ne dekha hai
hua hai jis pe 'alam zer baala hum ne dekha hai
ye jis ke waste sab kuchh hai utna hum ne dekha hai
qasam aankhon ki ru-e-mustafa ko hum ne dekha hai
wo lab ko chashm ko ruKHsar sima hum ne dekha hai
teri taswir ka ai yar KHaka hum ne dekha hai
koi hai jis ko sab kahte hain ki mirza hum ne dekha hai
sama jate hue zarre mein sahra hum ne dekha hai
utar jate hue qatre mein dariya hum ne dekha hai
jise KHalwat-nashin kahte the dar-parda samajhte the
khaDa hai bandh par wo be-irada hum ne dekha hai
ye dar-parda tumhaara aana-jaana khal gaya hum ko
ye kya kahte ho hum ko kis ne dekha hum ne dekha hai
wo sab chahen nahin mauquf kuchh 'ulwi'-o-sifli par
bahut kuchh dair-o-ka'ba-o-kalisa hum ne dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.