wahi jalwa-numa hai main nahin hun
vahī jalva-numā hai maiñ nahīñ huuñ
irshād-e-kibriyā hai maiñ nahīñ huuñ
terī sūrat meñ agar aur koī
tamāshe kar rahā hai maiñ nahīñ huuñ
banā kar bhes insāñ kā kisī ne
mujhe dhokā diyā hai maiñ nahīñ huuñ
ḳhudā kahtī hai jis ko ahl-e-duniyā
vo mujh meñ boltā hai maiñ nahīñ huuñ
pate kī baat kahtā huuñ samajh le
yahī merā pata hai maiñ nahīñ huuñ
yahī hai dekh le 'ulvī' yahī hai
ye mirzā kah rahā hai maiñ nahīñ huuñ
wahi jalwa-numa hai main nahin hun
irshad-e-kibriya hai main nahin hun
teri surat mein agar aur koi
tamashe kar raha hai main nahin hun
bana kar bhes insan ka kisi ne
mujhe dhoka diya hai main nahin hun
KHuda kahti hai jis ko ahl-e-duniya
wo mujh mein bolta hai main nahin hun
pate ki baat kahta hun samajh le
yahi mera pata hai main nahin hun
yahi hai dekh le 'ulwi' yahi hai
ye mirza kah raha hai main nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.