aalam mein jalwa karte hain kis kis hunar se aap
a.alam meñ jalva karte haiñ kis kis hunar se aap
nūr-e-nazar meñ rahte haiñ maḳhfī nazar se aap
kis darja rabt rakhte haiñ zaḳhm-e-jigar se aap
yā hū nikāl laate haiñ gar chashm-e-tar se aap
andhoñ kī tarah Thokareñ khā.eñge roz-o-shab
āñḳheñ agar laḌā.eng shams-o-qamar se aap
āhista aa.e paañv dabā kar nikal ga.e
kyā jaane aate jaate haiñ kis rah-guzar se aap
ā.īnā-kHāna kar diyā a.alam ko husn ko
kyā kyā dikhāte jalva haiñ dīvār-o-dar se aap
allāh re ḳhud-numā.ī ki āḳhir na chhup sake
bāhar nikal hī aa.e hijāb-e-bashar se aap
chalne ko zor-e-pā nahīñ uḌne ko par nahīñ
rakhte haiñ rabt 'ulvī' be-pā-o-par se aap
aalam mein jalwa karte hain kis kis hunar se aap
nur-e-nazar mein rahte hain maKHfi nazar se aap
kis darja rabt rakhte hain zaKHm-e-jigar se aap
ya hu nikal late hain gar chashm-e-tar se aap
andhon ki tarah Thokaren khaenge roz-o-shab
aanKHen agar laDaeng shams-o-qamar se aap
aahista aae panw daba kar nikal gae
kya jaane aate jate hain kis rah-guzar se aap
aaina-kHana kar diya aalam ko husn ko
kya kya dikhate jalwa hain diwar-o-dar se aap
allah re KHud-numai ki aaKHir na chhup sake
bahar nikal hi aae hijab-e-bashar se aap
chalne ko zor-e-pa nahin uDne ko par nahin
rakhte hain rabt 'ulwi' be-pa-o-par se aap
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 54)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.