wo jo ek dam ko bhi aa gae rag-o-pai mein meri sama gae
wo jo ek dam ko bhi aa gae rag-o-pai mein meri sama gae
Imdad Ali Ulvi
MORE BYImdad Ali Ulvi
vo jo ek dam ko bhī aa ga.e rag-o-pai meñ merī samā ga.e
vo kuchh aisī aag lagā ga.e ki jalā ke mujh ko bujhā ga.e
yahī hashr hai jise sunte the to ye taaza fitna nahīñ hai kuchh
vo jo pahle karte the shoḳhiyāñ vahī aake shor machā ga.e
hameñ miir 'ulvī'-o-siflī se na qarār ek nafas huā
na idhar hue na udhar hue ga.e ek dam ko phir ā.gaye
wo jo ek dam ko bhi aa gae rag-o-pai mein meri sama gae
wo kuchh aisi aag laga gae ki jala ke mujh ko bujha gae
yahi hashr hai jise sunte the to ye taza fitna nahin hai kuchh
wo jo pahle karte the shoKHiyan wahi aake shor macha gae
hamein mir 'ulwi'-o-sifli se na qarar ek nafas hua
na idhar hue na udhar hue gae ek dam ko phir aagaye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.