yar aaya chaman mein bahaar aai saqi mai-e-nab pila de mujhe
yar aaya chaman mein bahaar aai saqi mai-e-nab pila de mujhe
Imdad Ali Ulvi
MORE BYImdad Ali Ulvi
yaar aayā chaman meñ bahār aa.ī saaqī mai-e-nāb pilā de mujhe
mirī hastī-o-nīstī ek banā aise nashsha ke saath uḌā de mujhe
mujhe ishq ne phūñk ke ḳhaak kī tujhe husn-e-be-laus se paak kyā
tujhe paak kiyā mujhe ḳhaak kiyā ye jo bhed hai us meñ batā de mujhe
mujhe pīr-e-muġhāñ ne sharāb vo dī ho mahv-e-ḳhudā mirī saarī ḳhudī
na ḳhudā hī judā na ḳhudī hī judā mai-e-vasl ke ḳhum meñ Dubā de mujhe
mirā naḳhl-e-vajūd ye ḳhushk huā nam ġhair kā jis meñ asar na rahā
tū ab aisā koī mujhe jaam pilā ki vo phūñk ke dam meñ jilā de mujhe
are qāsid-e-muztar soḳhta pā to jo yaar kā pūchhe hai mujh se patā
mujhe apnī bhī hosh nahīñ aslan zarā merī ḳhabar to sunā de mujhe
terā naam huā mirā kaam huā terā kaam huā mirā naam huā
donoñ kā phir ik anjām huā to ḳhudī merī chhuḌā de mujhe
huā ishq meñ aisā maiñ be-sar-o-pā mujhe siflī-o-'ulvī' sab ek huā
baaqī hai jo nām-o-nishāñ merā ma.e nām-o-nishāñ ke de mujhe
yar aaya chaman mein bahaar aai saqi mai-e-nab pila de mujhe
meri hasti-o-nisti ek bana aise nashsha ke sath uDa de mujhe
mujhe ishq ne phunk ke KHak ki tujhe husn-e-be-laus se pak kya
tujhe pak kiya mujhe KHak kiya ye jo bhed hai us mein bata de mujhe
mujhe pir-e-mughan ne sharab wo di ho mahw-e-KHuda meri sari KHudi
na KHuda hi juda na KHudi hi juda mai-e-wasl ke KHum mein Duba de mujhe
mera naKHl-e-wajud ye KHushk hua nam ghair ka jis mein asar na raha
tu ab aisa koi mujhe jam pila ki wo phunk ke dam mein jila de mujhe
are qasid-e-muztar soKHta pa to jo yar ka puchhe hai mujh se pata
mujhe apni bhi hosh nahin aslan zara meri KHabar to suna de mujhe
tera nam hua mera kaam hua tera kaam hua mera nam hua
donon ka phir ek anjam hua to KHudi meri chhuDa de mujhe
hua ishq mein aisa main be-sar-o-pa mujhe sifli-o-'ulwi' sab ek hua
baqi hai jo nam-o-nishan mera mae nam-o-nishan ke de mujhe
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 126)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.