ishq ki aamad hai dil mein iztirab aane ko hai
ishq kī aamad hai dil meñ iztirāb aane ko hai
ḳhāna-vīrānī ko ik ḳhāna-e-ḳharāb aane ko hai
vaqt iz.hār-e-amal rakhnā lihāz-e-kātibīn
rū-ba-rū ik rose ye fard hisāb aane ko hai
le vo saaqī aa rahā hai ai dil ab bāteñ haiñ kyuuñ
bazm meñ tum tak bhī ab duur sharāb aane ko hai
aamad aamad ishq kī hai dard-e-dil paidā huā
gaḌ chukā kHema savārī janāb aane ko hai
jo gunah karte haiñ kar lījiye dar-e-tauba hai baaz
phir na ho afsos vaqt-e-sadd-e-bāb aane ko hai
horahā hai 'ulviyā' kyā sharh-e-sadr-e-musht-e-ḳhāk
kārvān-e-faiz-e-shāh bū-turāb aane ko hai
ishq ki aamad hai dil mein iztirab aane ko hai
KHana-virani ko ek KHana-e-KHarab aane ko hai
waqt izhaar-e-amal rakhna lihaz-e-katibin
ru-ba-ru ek rose ye fard hisab aane ko hai
le wo saqi aa raha hai ai dil ab baaten hain kyun
bazm mein tum tak bhi ab dur sharab aane ko hai
aamad aamad ishq ki hai dard-e-dil paida hua
gaD chuka kHema sawari janab aane ko hai
jo gunah karte hain kar lijiye dar-e-tauba hai baz
phir na ho afsos waqt-e-sadd-e-bab aane ko hai
horaha hai 'ulwiya' kya sharh-e-sadr-e-musht-e-KHak
karwan-e-faiz-e-shah bu-turab aane ko hai
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.