tum hi jism ho aur jaan bhi tum hi ho
tum hī jism ho aur jaañ bhī tum hī ho
ḳhudā kī qasam jān-e-jāñ bhī tum hī ho
ayaañ bhī tum hī ho nihāñ bhī tum hī ho
yahāñ bhī tum hī ho vahāñ bhī tum hī ho
makīñ bhī tum hī ho makāñ bhī tum hī ho
magar sab chunāñ aur chunāñ bhī tumheñ ho
tum hī se hai ābād ye mulk-e-hastī
ki isbāt-e-kaun-o-makāñ bhī tum hī ho
tum hī ho zamīr-e-man-o-tū kā marja'
ye mā-o-shumā īñ-o-āñ bhī tum hī ho
elān-e-kamā-kān hai aap kī shaan
ye kaun-o-makāñ kun-fakāñ bhī tum hī ho
tum hī se hai ma.amūr 'ulvī'-o-siflī
zamīñ tum se hai aur zamāñ bhī tum hī ho
tum hi jism ho aur jaan bhi tum hi ho
KHuda ki qasam jaan-e-jaan bhi tum hi ho
ayan bhi tum hi ho nihan bhi tum hi ho
yahan bhi tum hi ho wahan bhi tum hi ho
makin bhi tum hi ho makan bhi tum hi ho
magar sab chunan aur chunan bhi tumhein ho
tum hi se hai aabaad ye mulk-e-hasti
ki isbaat-e-kaun-o-makan bhi tum hi ho
tum hi ho zamir-e-man-o-tu ka marja'
ye ma-o-shuma in-o-an bhi tum hi ho
elan-e-kama-kan hai aap ki shan
ye kaun-o-makan kun-fakan bhi tum hi ho
tum hi se hai mamur 'ulwi'-o-sifli
zamin tum se hai aur zaman bhi tum hi ho
- Book : Khumkhana-e-Azli (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.