Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil mein yaad-e-pir-e-mai-kHana rahe

Imtiyaz Hussain Waqif

dil mein yaad-e-pir-e-mai-kHana rahe

Imtiyaz Hussain Waqif

MORE BYImtiyaz Hussain Waqif

    dil meñ yād-e-pīr-e-mai-kHāna rahe

    mai-kashoñ meñ duur paimāna rahe

    har makāñ meñ dekh lenā yaar ko

    yaar hai masjid ki but-ḳhāna rahe

    maiñ rahūñ us gun pe sadqe baar baar

    sham.a par qurbān parvāna rahe

    pyaas mastoñ bujhānā sāqiyā

    aaj paimāne pe paimāna rahe

    qais ne mujh se gale mil kar kahā

    saath dīvāne ke dīvāna rahe

    pūchhne vaalā nahīñ ‘vāqif’ koī

    'ishq meñ apnā bhī begāna rahe

    dil mein yaad-e-pir-e-mai-kHana rahe

    mai-kashon mein dur paimana rahe

    har makan mein dekh lena yar ko

    yar hai masjid ki but-KHana rahe

    main rahun us gun pe sadqe bar bar

    shama par qurban parwana rahe

    pyas maston ki bujhana saqiya

    aaj paimane pe paimana rahe

    qais ne mujh se gale mil kar kaha

    sath diwane ke diwana rahe

    puchhne wala nahin ‘waqif’ koi

    'ishq mein apna bhi begana rahe

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now