fasl-e-gul mein rang masti ka jamana chahiye
fasl-e-gul mein rang masti ka jamana chahiye
Imtiyaz Hussain Waqif
MORE BYImtiyaz Hussain Waqif
fasl-e-gul meñ rañg mastī kā jamānā chāhiye
uTh ke masjid se sū-e-mai-ḳhāna jaanā chāhiye
mujh se hai shauq-e-shahādat kā taqāzā bār-bār
teġh-e-qātil ko gale apne lagānā chāhiye
sun chuke ham vā’iz-e-mimbar-nashīñ se vasf-e-ḳhuld
kūcha-e-mahbūb meñ bistar lagānā chāhiye
fasl-e-gul pahuñchī hai phir aane lage haiñ bāda-ḳhvār
sāqiyā phir jām-e-mai gardish meñ aanā chāhiye
dekh lenā chāhiye vahdat ke jalve kī ziyā
gard-e-kasrat sāhat-e-dil se haTānā chāhiye
mai-kada ho dair ho masjid ho yā gulzār-o-dasht
har jagah us shoḳh harjā.ī ko paanā chāhiye
yuuñ hī ai 'vāqif' ga.ī tiflī javānī haath se
ab to piirī meñ ḳhudā kī yaad aanā chāhiye
fasl-e-gul mein rang masti ka jamana chahiye
uTh ke masjid se su-e-mai-KHana jaana chahiye
mujh se hai shauq-e-shahadat ka taqaza bar-bar
tegh-e-qatil ko gale apne lagana chahiye
sun chuke hum wa’iz-e-mimbar-nashin se wasf-e-KHuld
kucha-e-mahbub mein bistar lagana chahiye
fasl-e-gul pahunchi hai phir aane lage hain baada-KHwar
saqiya phir jam-e-mai gardish mein aana chahiye
dekh lena chahiye wahdat ke jalwe ki ziya
gard-e-kasrat sahat-e-dil se haTana chahiye
mai-kada ho dair ho masjid ho ya gulzar-o-dasht
har jagah us shoKH harjai ko pana chahiye
yun hi ai 'waqif' gai tifli jawani hath se
ab to piri mein KHuda ki yaad aana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.