soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye aur shauq-e-talab motabar chahiye
soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye aur shauq-e-talab motabar chahiye
Iqbal Azeem
MORE BYIqbal Azeem
soz-e-dil chāhiye chashm-e-nam chāhiye aur shauq-e-talab mo'tabar chāhiye
hoñ mayassar madīne kī galiyāñ agar aañkh kaafī nahīñ hai nazar chāhiye
un kī mahfil ke ādāb kuchh aur haiñ lab kushā.ī kī jur.at munāsib nahīñ
un kī sarkār meñ iltijā ke liye jumbish-e-lab nahīñ chashm-e-tar chāhiye
apnī rūdād-e-ġham meñ sunā.ūñ kise mere dukh ko koī aur samjhegā kyā
jis kī ḳhaak qadam bhī hai ḳhaak shifā mere zaḳhmoñ ko vo chāra-gar chāhiye
maiñ gadā-e-dar-e-shāh-e-kaunain huuñ shīsh-mahloñ kī mujh ko tamannā nahīñ
ho mayassar zamīñ par ke zer-e-zamīñ mujh ko taiba meñ ik apnā ghar chāhiye
raunaqeñ zindagī kī bahut dekh liiñ ab meñ āñkhoñ kā apnī karūñgā bhī bhī
ab na kuchh guftanī hai na kuchh dīdanī mujh ko aaqā kī bus ik nazar chāhiye
in na.e rāstoñ kī ġhalat raushnī ham ko raas aa.ī hai aur na raas aa.egī
ham ko khoī huī raushnī chāhiye ham ko ā.īn-e-ḳhairul-bashar chāhiye
gosha gosha madīne kā pur nuur hai saarā māhaul jalvoñ se mā'mūr hai
shart ye hai ki zarf-e-nazar chāhiye dekhne ko koī diida dar chāhiye
midhat-e-sarvar-e-do-jahāñ ke liye sirf lafz-o-bayāñ kā sahārā na lo
fann-e-she.rī hai iqbāl apnī jagah naa't kahne ko ḳhūn-e-jigar chāhiye
soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye aur shauq-e-talab mo'tabar chahiye
hon mayassar madine ki galiyan agar aankh kafi nahin hai nazar chahiye
un ki mahfil ke aadab kuchh aur hain lab kushai ki jurat munasib nahin
un ki sarkar mein iltija ke liye jumbish-e-lab nahin chashm-e-tar chahiye
apni rudad-e-gham mein sunaun kise mere dukh ko koi aur samjhega kya
jis ki KHak qadam bhi hai KHak shifa mere zaKHmon ko wo chaara-gar chahiye
main gada-e-dar-e-shah-e-kaunain hun shish-mahlon ki mujh ko tamanna nahin
ho mayassar zamin par ke zer-e-zamin mujh ko taiba mein ek apna ghar chahiye
raunaqen zindagi ki bahut dekh lin ab mein aankhon ka apni karunga bhi bhi
ab na kuchh guftani hai na kuchh didani mujh ko aaqa ki bus ek nazar chahiye
in nae raston ki ghalat raushni hum ko ras aai hai aur na ras aaegi
hum ko khoi hui raushni chahiye hum ko aain-e-KHairul-bashar chahiye
gosha gosha madine ka pur nur hai sara mahaul jalwon se ma'mur hai
shart ye hai ki zarf-e-nazar chahiye dekhne ko koi dida dar chahiye
midhat-e-sarwar-e-do-jahan ke liye sirf lafz-o-bayan ka sahaara na lo
fann-e-sheri hai iqbaal apni jagah na't kahne ko KHun-e-jigar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.