na to mai-kade ki hai justuju na talash-e-baada-o-jam hai
na to mai-kade ki hai justuju na talash-e-baada-o-jam hai
Iqbal Safipuri
MORE BYIqbal Safipuri
na to mai-kade kī hai justujū na talāsh-e-bāda-o-jām hai
jo nafs nafs ko pilā ga.ī mujhe us nigāh se kaam hai
bas usī ḳhatā pe mire liye mai-e-lā-la-gūñ hai na jaam hai
ki gadā.ī dar-e-mai-kada marī tishnagī pe harām hai
na karam hai un kā na barhamī na sahar hai apnī na shaam hai
jo usī kā naam hai zindagī mirā zindagī ko salām hai
kabhī raushnī kabhī tīrgī yahi zindagī kā nizām hai
vo nazar milā.īñ to sub.h hai vo nazar churā.ī to shaam hai
na to mai-kade ki hai justuju na talash-e-baada-o-jam hai
jo nafs nafs ko pila gai mujhe us nigah se kaam hai
bas usi KHata pe mere liye mai-e-la-la-gun hai na jam hai
ki gadai dar-e-mai-kada mari tishnagi pe haram hai
na karam hai un ka na barhami na sahar hai apni na sham hai
jo usi ka nam hai zindagi mera zindagi ko salam hai
kabhi raushni kabhi tirgi yahi zindagi ka nizam hai
wo nazar milain to subh hai wo nazar churai to sham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.