tujhe chashm-e-shauq ka wasta kabhi is taraf bhi to saqiya
tujhe chashm-e-shauq ka wasta kabhi is taraf bhi to saqiya
Iqbal Safipuri
MORE BYIqbal Safipuri
tujhe chashm-e-shauq kā vāsta kabhī is taraf bhī to sāqiyā
mirī har nazar meñ hai tishnagī tirī har nigāh meñ jaam hai
ye hijāb jalva-e-husn kyā mire zauq-e-dīd ye rahm khā
zarā muskurā ke naqāb uThā ki nazar ko shauq-e-salām hai
jise kā.enāt ne san liyā vo sadā nahii. hai koī sadā
jo taḌap ke dil hī meñ rah gayā vahī dard dil kā payām hai
chaman-e-hayāt kī raunaqeñ koī dekhe merī nigāh se
ye bahār us kā hai pairahan ye nasīm us kā ḳhirām hai
vo niyāz-o-nāz kī manzileñ ki sajī thiiñ pyaar kī mahfileñ
aur ab ik zamāna guzar gayā na salām hai na payām hai
tujhe naaz ye ki ba-yak nazar mire dil ko dard banā diyā
mujhe ye ġhurūr ki aaj bhī mire lab pe terā hī naam hai
tujhe chashm-e-shauq ka wasta kabhi is taraf bhi to saqiya
meri har nazar mein hai tishnagi teri har nigah mein jam hai
ye hijab jalwa-e-husn kya mere zauq-e-did ye rahm kha
zara muskura ke naqab uTha ki nazar ko shauq-e-salam hai
jise kaenat ne san liya wo sada nahi hai koi sada
jo taDap ke dil hi mein rah gaya wahi dard dil ka payam hai
chaman-e-hayat ki raunaqen koi dekhe meri nigah se
ye bahaar us ka hai pairahan ye nasim us ka KHiram hai
wo niyaz-o-naz ki manzilen ki saji thin pyar ki mahfilen
aur ab ek zamana guzar gaya na salam hai na payam hai
tujhe naz ye ki ba-yak nazar mere dil ko dard bana diya
mujhe ye ghurur ki aaj bhi mere lab pe tera hi nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.