ye faza ye chandni raaten ye daur-e-jam-o-mai
ye fazā ye chāñdnī rāteñ ye daur-e-jām-o-mai
mastiyoñ meñ ġharq ho jaane kā mausam āgayā
ho rahī haiñ jam.a ik markaz pe dil kī vahshateñ
ham-nashīñ shāyad bahār aane kā mausam āgayā
muskurātā hai koī chhup-chhup ke dil kī aaḌ meñ
hasratoñ ke raqs farmāne kā mausam āgayā
rafta-rafta vāqi.āt-e-dard yaad aane lage
chupke chupke ashk barsāne kā mausam āgayā
dil meñ aish mai-kada añgḌā.iyāñ lene lagā
har ġham-e-duniyā ko Thukrāne kā mausam āgayā
baḌh rahā hai ḳhud-baḳhud 'iqbāl' josh-e-be-ḳhudī
ālam-e-imkāñ pe chhā jaane kā mausam āgayā
ye faza ye chandni raaten ye daur-e-jam-o-mai
mastiyon mein gharq ho jaane ka mausam aagaya
ho rahi hain jama ek markaz pe dil ki wahshaten
ham-nashin shayad bahaar aane ka mausam aagaya
muskuraata hai koi chhup-chhup ke dil ki aaD mein
hasraton ke raqs farmane ka mausam aagaya
rafta-rafta waqiat-e-dard yaad aane lage
chupke chupke ashk barsane ka mausam aagaya
dil mein aish mai-kada angDaiyan lene laga
har gham-e-duniya ko Thukrane ka mausam aagaya
baDh raha hai KHud-baKHud 'iqbaal' josh-e-be-KHudi
aalam-e-imkan pe chha jaane ka mausam aagaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.