Font by Mehr Nastaliq Web

ishq hai jis maqam mein koi bhi dusra nahin

Zaheen Shah Taji

ishq hai jis maqam mein koi bhi dusra nahin

Zaheen Shah Taji

'ishq hai jis maqām meñ koī bhī dūsrā nahīñ

maiñ bhī tire sivā nahīñ bhī mire sivā nahīñ

'aql maslahat sahī 'ishq mudda'ā nahīñ

dil na qubūl kar sake aisī du'ā du'ā nahīñ

qasd nahīñ talab nahīñ rah nahīñ rahnumā nahīñ

'ishq hai ḳhud mudda'ā 'ishq meñ mudda'ā nahīñ

naqsh-e-sujūd har taraf naam ko naqsh-e-pā nahīñ

manzil-e-'ishq sar huī ek qadam chalā nahīñ

'ālam-e-kaif-o-kam se duur mahv hai dil tire huzūr

rañj nahīñ ḳhushī nahīñ dard nahīñ davā nahīñ

sharh-e-dil-o-nazar 'zahīn' sirr-e-zabān-e-'ishq hai

lafz nahīñ bayāñ nahīñ saut nahīñ sadā nahīñ

'ishq hai jis maqam mein koi bhi dusra nahin

main bhi tere siwa nahin tu bhi mere siwa nahin

'aql ki maslahat sahi 'ishq ka mudda'a nahin

dil na qubul kar sake aisi du'a du'a nahin

qasd nahin talab nahin rah nahin rahnuma nahin

'ishq hai KHud hi mudda'a 'ishq mein mudda'a nahin

naqsh-e-sujud har taraf nam ko naqsh-e-pa nahin

manzil-e-'ishq sar hui ek qadam chala nahin

'alam-e-kaif-o-kam se dur mahw hai dil tere huzur

ranj nahin KHushi nahin dard nahin dawa nahin

sharh-e-dil-o-nazar 'zahin' sirr-e-zaban-e-'ishq hai

lafz nahin bayan nahin saut nahin sada nahin

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now