ishq ki had se nikalte phir ye manzar dekhte
ishq kī had se nikalte phir ye manzar dekhte
kaash husn-e-yār ko ham husn ban kar dekhte
duur jākar dekhte nazdīk aakar dekhte
ham se ho saktā to ham un ko barābar dekhte
fitrat-e-majbūr par qaabū hī kuchh chaltā nahīñ
varna ham to tujh ko bhī tujh se chhipā kar dekhte
dam ba-ḳhud haiñ hazrat-e-zāhid yahīñ tak dekh kar
hosh uḌ jaate agar shīshe se bāhar dekhte
yā mazāq-e-dīd kī tohmat na lete ai 'jigar'
yā mujassam dil sarāpā aañkh ban kar dekhte
ishq ki had se nikalte phir ye manzar dekhte
kash husn-e-yar ko hum husn ban kar dekhte
dur jakar dekhte nazdik aakar dekhte
hum se ho sakta to hum un ko barabar dekhte
fitrat-e-majbur par qabu hi kuchh chalta nahin
warna hum to tujh ko bhi tujh se chhipa kar dekhte
dam ba-KHud hain hazrat-e-zahid yahin tak dekh kar
hosh uD jate agar shishe se bahar dekhte
ya mazaq-e-did ki tohmat na lete ai 'jigar'
ya mujassam dil sarapa aankh ban kar dekhte
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 192)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.