ishq mein lutf jo tu us se na kamtar hota
'ishq meñ 'lutf' jo tū us se na kamtar hotā
terā marqad bhī shahīdī ke barābar hotā
'afv hotī na kisī tarah kHatā-e-ādam
tū na haamī agar ai shāfe'-e-mahshar hotā
rāsta ḳhuld kā miltā na gunah-gāroñ ko
ba-ḳhudā tum sā payambar jo na rahbar hotā
tere dīdār kī ummīd na hotī jo mujhe
gor meñ merā guzārā nahīñ dam bhar hotā
un kī nā'lain mubārak pe tasadduq karatā
zar zamāne kā agar mujh ko mayassar hotā
chūmte chāTte āñkhoñ se lagāte us ko
gar mayassar dar-e-mahbūb kā patthar hotā
'lutf' altāf-e-ḳhudā hotā hai jis shā'ir par
ba-ḳhudā hai vahī maddāh-e-payambar hotā
'ishq mein 'lutf' jo tu us se na kamtar hota
tera marqad bhi shahidi ke barabar hota
'afw hoti na kisi tarah kHata-e-adam
tu na hami agar ai shafe'-e-mahshar hota
rasta KHuld ka milta na gunah-garon ko
ba-KHuda tum sa payambar jo na rahbar hota
tere didar ki ummid na hoti jo mujhe
gor mein mera guzara nahin dam bhar hota
un ki na'lain mubarak pe tasadduq karata
zar zamane ka agar mujh ko mayassar hota
chumte chaTte aankhon se lagate us ko
gar mayassar dar-e-mahbub ka patthar hota
'lutf' altaf-e-KHuda hota hai jis sha'ir par
ba-KHuda hai wahi maddah-e-payambar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.