ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai davā ho jaanā
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
dil huā kasmakash-e-chāra-e-zehmat meñ tamām
miT gayā ghisne meñ is uqde kā vā ho jaanā
ab jafā se bhī haiñ mahrūm ham allāh allāh
is qadar dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard huā
bāvar aayā hameñ paanī kā havā ho jaanā
dil se miTnā tirī añgusht-e-hinā.ī kā ḳhayāl
ho gayā gosht se nāḳhun kā judā ho jaanā
hai mujhe abr-e-bahārī kā baras kar khulnā
rote rote ġham-e-furqat meñ fanā ho jaanā
gar nahīñ nik.hat-e-gul ko tire kūche kī havas
kyuuñ hai gard-e-rah-e-jaulān-e-sabā ho jaanā
baḳhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamāshā 'ġhālib'
chashm ko chāhiye har rañg meñ vā ho jaanā
tā ki tujh par khule ejāz-e-havā-e-saiqal
dekh barsāt meñ sabz aa.ine kā ho jaanā
ishrat-e-qatra hai dariyā meñ fanā ho jaanā
dard kā had se guzarnā hai dawā ho jaanā
tujh se qismat meñ mirī sūrat-e-qufl-e-abjad
thā likhā baat ke bante hī judā ho jaanā
dil huā kasmakash-e-chāra-e-zehmat meñ tamām
miT gayā ghisne meñ is uqde kā wā ho jaanā
ab jafā se bhī haiñ mahrūm hum allāh allāh
is qadar dushman-e-arbāb-e-wafā ho jaanā
zoaf se girya mubaddal ba-dam-e-sard huā
bāwar aayā hameñ panī kā hawā ho jaanā
dil se miTnā tirī añgusht-e-hināī kā ḳhayāl
ho gayā gosht se nāḳhun kā judā ho jaanā
hai mujhe abr-e-bahārī kā baras kar khulnā
rote rote ġham-e-furqat meñ fanā ho jaanā
gar nahīñ nikhat-e-gul ko tere kūche kī hawas
kyuñ hai gard-e-rah-e-jaulān-e-sabā ho jaanā
baḳhshe hai jalwa-e-gul zauq-e-tamāshā 'ġhālib'
chashm ko chāhiye har rañg meñ wā ho jaanā
tā ki tujh par khule ejāz-e-hawā-e-saiqal
dekh barsāt meñ sabz aaine kā ho jaanā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.