na tu kashf-e-dast-e-masih de na tajalli-e-sar-e-tur de
na tu kashf-e-dast-e-masīh de na tajallī-e-sar-e-tūr de
tere bus meñ agar ai ḳhudā mujhe zindagī kā su'ūr de
mujhe tujh se qurbat-e-ḳhās hai terā juz vahī merī zaat hai
terī rif’atoñ ko jo chhū sake mujhe vo nigāh-e-ġhurūr de
yahāñ chehra chehra naqāb hai yahāñ jism jism harīm hai
jo darūn-e-qalb dikhā sake merī aañkh ko vahī nuur de
mujhe kāTnī hai ye zindagī tere pyāre bandoñ ke darmiyāñ
mujhe 'azm-e-razm-o-jihād de ahl-e-zabt ahl-e-qubūr de
na tu kashf-e-dast-e-masih de na tajalli-e-sar-e-tur de
tere bus mein agar ai KHuda mujhe zindagi ka su'ur de
mujhe tujh se qurbat-e-KHas hai tera juz wahi meri zat hai
teri rif’aton ko jo chhu sake mujhe wo nigah-e-ghurur de
yahan chehra chehra naqab hai yahan jism jism harim hai
jo darun-e-qalb dikha sake meri aankh ko wahi nur de
mujhe kaTni hai ye zindagi tere pyare bandon ke darmiyan
mujhe 'azm-e-razm-o-jihad de ahl-e-zabt ahl-e-qubur de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.