jag uThenge dard purane zaKHmon ki angnai mein
jaag uTheñge dard purāne zaḳhmoñ kī añgnā.ī meñ
dil kī choT ubhar aa.egī mat niklo purvā.ī meñ
koyal kuukī mauj-e-sabā ne paañv meñ ghuñghrū bāñdh liye
pyaar kā naġhma chheḌ rahā hai aaj koī shahnā.ī meñ
jo pahle badnām hue the un ko duniyā bhuul ga.ī
ham ne kaise rañg bhare haiñ 'ishq terī rusvā.ī meñ
kaun tumhāre dukh bāñTegā kaun ye naaz uThā.egā
ham jis vaqt na hoñge jānāñ taḌpoge tanhā.ī meñ
aaj 'fanā' ke pīchhe-pīchhe ḳhaak uḌāte phirte haiñ
logoñ ne kyā dekh liyā hai aaj tire saudā.ī meñ
jag uThenge dard purane zaKHmon ki angnai mein
dil ki choT ubhar aaegi mat niklo purwai mein
koyal kuki mauj-e-saba ne panw mein ghunghru bandh liye
pyar ka naghma chheD raha hai aaj koi shahnai mein
jo pahle badnam hue the un ko duniya bhul gai
hum ne kaise rang bhare hain 'ishq teri ruswai mein
kaun tumhaare dukh banTega kaun ye naz uThaega
hum jis waqt na honge jaanan taDpoge tanhai mein
aaj 'fana' ke pichhe-pichhe KHak uDate phirte hain
logon ne kya dekh liya hai aaj tere saudai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.