jab dil-e-mansur par haq chha gaya
jab dil-e-mansūr par haq chhā gayā
lab pe iqrār-e-anal-haq aa gayā
yaaro tum kahte ho jis ko arsh par
maiñ to apne dil meñ us ko pā gayā
kaun dekhe us ko ġhair az ahl-e-dil
āftāb andhe se kab dekhā gayā
haif sirr-e-haq na pūchhā ek ne
paas apne ik jahāñ aayā gayā
dam-ba-ḳhud ho rahiye kuchh kahiye na ab
haq jo koī bolā so jhaT maarā gayā
murshid-e-bar-haq ke sadqe jā.iye
raah haq kī jo hameñ dikhlā gayā
kah de tālib se ki sab haq hai 'turāb'
kalimat-ul-haq vo yahī farmā gayā
jab dil-e-mansur par haq chha gaya
lab pe iqrar-e-anal-haq aa gaya
yaro tum kahte ho jis ko arsh par
main to apne dil mein us ko pa gaya
kaun dekhe us ko ghair az ahl-e-dil
aaftab andhe se kab dekha gaya
haif sirr-e-haq na puchha ek ne
pas apne ek jahan aaya gaya
dam-ba-KHud ho rahiye kuchh kahiye na ab
haq jo koi bola so jhaT mara gaya
murshid-e-bar-haq ke sadqe jaiye
rah haq ki jo hamein dikhla gaya
kah de talib se ki sab haq hai 'turab'
kalimat-ul-haq wo yahi farma gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.