jab husn-e-azal parda-e-imkan mein aaya
jab husn-e-azal parda-e-imkān meñ aayā
be-rañg ba-har-rañg har ik shaan meñ aayā
avval vahī āḳhir vahī aur zāhir-o-bātin
mazkūr yahī āyat-e-qur.ān meñ aayā
gun hai vahī sumbul hai vahī nargis-e-hairāñ
apne hī tamāshe ko gulistān meñ aayā
hurmat se malā.ik ne use sajda kiyā hai
jis vaqt ki vo sūrat-e-insān meñ aayā
mutrib vahī āvāz vahī saaz vahī hai
har taar meñ bolā vo har ik taan meñ aayā
nazdīk hai vo sab se jahāñ us se hai ma.amūr
jab chashm khulī dil kī to pahchān meñ aayā
be-rañg ke rañgoñ ko yahāñ dekh le 'asġhar'
sau tarah se 'ālam ke kHiyābān meñ aayā
jab husn-e-azal parda-e-imkan mein aaya
be-rang ba-har-rang har ek shan mein aaya
awwal wahi aaKHir wahi aur zahir-o-baatin
mazkur yahi aayat-e-quran mein aaya
gun hai wahi sumbul hai wahi nargis-e-hairan
apne hi tamashe ko gulistan mein aaya
hurmat se malaik ne use sajda kiya hai
jis waqt ki wo surat-e-insan mein aaya
mutrib wahi aawaz wahi saz wahi hai
har tar mein bola wo har ek tan mein aaya
nazdik hai wo sab se jahan us se hai mamur
jab chashm khuli dil ki to pahchan mein aaya
be-rang ke rangon ko yahan dekh le 'asghar'
sau tarah se 'alam ke kHiyaban mein aaya
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 35)
- Author : फ़हीम अकबराबादी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.