Sufinama

jab KHayal aaya mujhe tere ruKH-e-pur-nur ka

Aughat Shah Warsi

jab KHayal aaya mujhe tere ruKH-e-pur-nur ka

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    jab ḳhayāl aayā mujhe tere ruḳh-e-pur-nūr

    phir gayā naqsha merī āñkhoñ meñ chashm-e-tūr

    aable paḌne lage pā-e-ḳhayāl-o-fikr meñ

    hai ye aalam ātish-e-ġham se dil-e-mahrūr

    ek nazar meñ jis ne lākhoñ ko kiyā be-hosh-o-mast

    dekhne vaalā huuñ maiñ us nargis-e-maḳhmūr

    juz malāl-o-huzn-o-andoh-o-haras-o-dard-o-ġham

    aur koī ab nahīñ monis dil-e-ranjūr

    faḳhr ye hai maiñ shah-e-'vāris' ke dar huuñ faqīr

    martaba 'aughat' nahīñ jo qaisar-o-faġhfūr

    jab KHayal aaya mujhe tere ruKH-e-pur-nur ka

    phir gaya naqsha meri aankhon mein chashm-e-tur ka

    aable paDne lage pa-e-KHayal-o-fikr mein

    hai ye aalam aatish-e-gham se dil-e-mahrur ka

    ek nazar mein jis ne lakhon ko kiya be-hosh-o-mast

    dekhne wala hun main us nargis-e-maKHmur ka

    juz malal-o-huzn-o-andoh-o-haras-o-dard-o-gham

    aur koi ab nahin monis dil-e-ranjur ka

    faKHr ye hai main shah-e-'waris' ke dar ka hun faqir

    martaba 'aughat' nahin jo qaisar-o-faghfur ka

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 8)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now