jab se bulbul tune do tinke liye
jab se bulbul tuune do tinke liye
loTtī haiñ bijliyāñ un ke liye
mai na dī qarz us ne do din ke liye
jis ne toḌe ham se gin gin ke liye
din mirā rotā hai merī raat ko
raat rotī hai mirī din ke liye
hai javānī ḳhud javānī kā siñgār
sādgī gahnā hai is sin ke liye
paak rakhā pāk-dāman se hisāb
bū se bhī gin ke diye gin ke liye
kaun vīrāne meñ dekhegā bahār
phuul jañgal meñ khile kin ke liye
saarī duniyā ke haiñ vo mere sivā
maiñ ne duniyā chhoḌ dī jin ke liye
zarra zarra durd-e-mai kā zāhido
dūrbīñ hai chashm-e-bātin ke liye
vasl meñ jhuñjhlā ke vo bole ki haa.e
kin kā joban aur hai kin ke liye
kīmiyā-gar aag sā dekhā nahīñ
taar sone ke diye tinke liye
bāġhbāñ kaliyāñ hoñ halke rañg kī
bhejnā hai ek kamsin ke liye
sab hasīñ haiñ zāhidoñ ko nā-pasand
ab koī huur aa.egī un ke liye
jā.iye sauñpā ḳhudā ko jā.iye
thā ye saarā husn zāmin ke liye
zab.h karne meñ baḌā mashshāq hai
ghar ho maslaḳh meñ muazzin ke liye
vasl kā din aur itnā muḳhtasar
din gine jaate the is din ke liye
khā gayā ham nā-tavānoñ ko firāq
khol kar muñh dev ne tinke liye
sub.h kā sonā jo haath aatā 'amīr'
bhejte tohfa muazzin ke liye
jab se bulbul tune do tinke liye
loTti hain bijliyan un ke liye
mai na di qarz us ne do din ke liye
jis ne toDe hum se gin gin ke liye
din mera rota hai meri raat ko
raat roti hai meri din ke liye
hai jawani KHud jawani ka singar
sadgi gahna hai is sin ke liye
pak rakha pak-daman se hisab
bu se bhi gin ke diye gin ke liye
kaun virane mein dekhega bahaar
phul jangal mein khile kin ke liye
sari duniya ke hain wo mere siwa
main ne duniya chhoD di jin ke liye
zarra zarra durd-e-mai ka zahido
durbin hai chashm-e-baatin ke liye
wasl mein jhunjhla ke wo bole ki hae
kin ka joban aur hai kin ke liye
kimiya-gar aag sa dekha nahin
tar sone ke diye tinke liye
baghban kaliyan hon halke rang ki
bhejna hai ek kamsin ke liye
sab hasin hain zahidon ko na-pasand
ab koi hur aaegi un ke liye
jaiye saunpa KHuda ko jaiye
tha ye sara husn zamin ke liye
zabh karne mein baDa mashshaq hai
ghar ho maslaKH mein muazzin ke liye
wasl ka din aur itna muKHtasar
din gine jate the is din ke liye
kha gaya hum na-tawanon ko firaq
khol kar munh dew ne tinke liye
subh ka sona jo hath aata 'amir'
bhejte tohfa muazzin ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.