jab se hua wo gul chaman-ara-e-madina
jab se huā vo gul chaman-ārā-e-madīna
jibrīl banā bulbul-e-shaidā-e-madīna
siina hai merā rū-kash-e-sahrā-e-madīna
dil hai jaras-e-mahmil-e-lailā-e-madīna
shamse kī jhalak dekh ke ḳhurshīd-e-falak hai
jarūb-kash-e-sāḳhta zaibā-e-madīna
allāh re mahtābī-e-zebā kī safā.ī
mahtāb hai ḳhākistar-e-sahrā-e-madīna
bose kī tamannā hai jo mīnā-e-falak ko
jhuktā hai sū-e-gumbad-e-kHazrā-e-madīna
mizhgāñ se kareñ raah kī jārūb-kashī ham
sau kos se gar ham ko nazar aa.e madīna
aatā huuñ baḌī duur se ālūda-e-isyāñ isyāñ
maulā mujhe mat kījiyo rusvā-e-madīna
ab ḳhvāb se taskīñ nahīñ hotī hai 'shahīdā'
bedārī meñ ḳhāliq mujhe dikhlā.e madīna
jab se hua wo gul chaman-ara-e-madina
jibril bana bulbul-e-shaida-e-madina
sina hai mera ru-kash-e-sahra-e-madina
dil hai jaras-e-mahmil-e-laila-e-madina
shamse ki jhalak dekh ke KHurshid-e-falak hai
jarub-kash-e-saKHta zaiba-e-madina
allah re mahtabi-e-zeba ki safai
mahtab hai KHakistar-e-sahra-e-madina
bose ki tamanna hai jo mina-e-falak ko
jhukta hai su-e-gumbad-e-kHazra-e-madina
mizhgan se karen rah ki jarub-kashi hum
sau kos se gar hum ko nazar aae madina
aata hun baDi dur se aaluda-e-isyan isyan
maula mujhe mat kijiyo ruswa-e-madina
ab KHwab se taskin nahin hoti hai 'shahida'
bedari mein KHaliq mujhe dikhlae madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.