jab tak mere hoñToñ pe tirā nam rahegā
jab tak mire hoñToñ pe tirā naam rahegā
dil be-ḳhabar-e-gardish-e-ayyām rahegā
miT jā.egā har naqsh-e-ḳhayāl-e-ġham-e-hastī
lekin varaq-e-dil pe tirā naam rahegā
kyuuñ Dar hai gunāhoñ ke sabab hashr ke din se
ham jānte haiñ un kā karam aam rahegā
paiġhām to ā.eñge bahut dair-o-haram se
lekin tirī chaukhaT se mujhe kaam rahegā
mai-ḳhāna salāmat hai agar terī nazar kā
labrez ma-e-ishq se har jaam rahegā
dāman hai agar terā mire dast-e-talab meñ
āġhāz se behtar mirā anjām rahegā
jā.egī na dil se tire aariz kī mohabbat
zulfoñ kā tasavvur mujhe har shaam rahegā
āñkheñ hī nahīñ terī 'fanā' diid ke qābil
tū jalva-gah-e-yār meñ nākām rahegā
jab tak mere hoñToñ pe tirā nam rahegā
dil be-ḳhabar-e-gardish-e-ayyām rahegā
miT jāegā har naqsh-e-ḳhayāl-e-ġham-e-hastī
lekin waraq-e-dil pe tirā nam rahegā
kyuñ Dar hai gunāhoñ ke sabab hashr ke din se
hum jānte haiñ un kā karam aam rahegā
paiġhām to āeñge bahut dair-o-haram se
lekin tirī chaukhaT se mujhe kaam rahegā
mai-ḳhāna salāmat hai agar terī nazar kā
labrez ma-e-ishq se har jam rahegā
dāman hai agar terā mere dast-e-talab meñ
āġhāz se behtar mirā anjām rahegā
jāegī na dil se tere aariz kī mohabbat
zulfoñ kā tasawwur mujhe har sham rahegā
āñkheñ hī nahīñ terī 'fanā' did ke qābil
tū jalwa-gah-e-yār meñ nākām rahegā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.