jab yar dekha nain bhar
jab yaar dekhā nain bhar dil kī ga.ī chintā utar
aisā nahīñ koī ajab rākhe use samjhā.e kar
jab aañkh se ojhal bhyā taḌpan lagā merā jiyā
haqqā ilāhī kyā kiyā aañsū chale bhar laay kar
tū to hamārā yaar hai tujh par hamārā pyaar hai
tujh dostī bisyār hai ek shab milī tum aay kar
jaanā talab terī karūñ dīgar talab kis kī karūñ
terī jo chintā dil dharūñ ek din milo tum aay kar
merī jo man tum ne liyā tum ne uThā ġham ko diyā
tum ne mujhe aisā kiyā jaisā patañgā aag par
'ḳhusrav' kahae bātāñ ġhazab dil meñ na laave kuchh ajab
qudrat ḳhudā kī hai ajab jab jiv diyā gul laay kar
jab yar dekha nain bhar dil ki gai chinta utar
aisa nahin koi ajab rakhe use samjhae kar
jab aankh se ojhal bhya taDpan laga mera jiya
haqqa ilahi kya kiya aansu chale bhar lay kar
tu to hamara yar hai tujh par hamara pyar hai
tujh dosti bisyar hai ek shab mili tum aay kar
jaana talab teri karun digar talab kis ki karun
teri jo chinta dil dharun ek din milo tum aay kar
meri jo man tum ne liya tum ne uTha gham ko diya
tum ne mujhe aisa kiya jaisa patanga aag par
'KHusraw' kahae baatan ghazab dil mein na lawe kuchh ajab
qudrat KHuda ki hai ajab jab jiw diya gul lay kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.